Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya

Fatima Hasan

KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya

Fatima Hasan

ḳhvāb girvī rakh diye āñkhoñ saudā kar diyā

qarz-e-dil kyā qarz-e-jāñ bhī aaj chuktā kar diyā

ġhair ko ilzām kyuuñ deñ dost se shikva nahīñ

apne hāthoñ kiyā jo kuchh bhī jaisā kar diyā

kuchh ḳhabar bhī ho na paa.ī is dayār-e-ishq meñ

kaun yūsuf ho gayā kis ko zuleḳhā kar diyā

dil ke darvāze pe yādeñ shor jab banñe lagīñ

dhaḌkanoñ naam de kar bojh halkā kar diyā

kitne achchhe log the kyā raunaqeñ thiiñ un ke saath

jin ruḳhsat ne hamārā shahr suunā kar diyā

apne pyāroñ ko bachāyā dard har mauj se

aañkh meñ sailāb rokā dil ko dariyā kar diyā

phūl, paude, peḌ, bachche ghar āñgan aur tum

ḳhvāhishoñ ke naam par in sab ko yakjā kar diyā

ġham nahīñ lā-hāsilī ishq hāsil hai ye

ai hisāb-e-zindagī tujh ko to puurā kar diyā

hijr se hijrat talak har dukh se samjhautā kiyā

bhiiḌ meñ rah ke bhī maiñ ne ḳhud ko tanhā kar diyā

ye zamīñ 'hasrat' hai is par qadam rakkhā to phir

itnī jur.at ho ga.ī arz-e-tamannā kar diyā

KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya

qarz-e-dil kya qarz-e-jaan bhi aaj chukta kar diya

ghair ko ilzam kyun den dost se shikwa nahin

apne hi hathon kiya jo kuchh bhi jaisa kar diya

kuchh KHabar bhi ho na pai is dayar-e-ishq mein

kaun yusuf ho gaya kis ko zuleKHa kar diya

dil ke darwaze pe yaaden shor jab banne lagin

dhaDkanon ka nam de kar bojh halka kar diya

kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath

jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya

apne pyaron ko bachaya dard ki har mauj se

aankh mein sailab roka dil ko dariya kar diya

phul, paude, peD, bachche ghar ka aangan aur tum

KHwahishon ke nam par in sab ko yakja kar diya

gham nahin la-hasili ka ishq ka hasil hai ye

ai hisab-e-zindagi tujh ko to pura kar diya

hijr se hijrat talak har dukh se samjhauta kiya

bhiD mein rah ke bhi main ne KHud ko tanha kar diya

ye zamin 'hasrat' ki hai is par qadam rakkha to phir

itni jurat ho gai arz-e-tamanna kar diya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Fatima Hasan

Fatima Hasan

RECITATIONS

Fatima Hasan

Fatima Hasan,

00:00/00:00
Fatima Hasan

KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya Fatima Hasan

Source :
  • Book : yadain bhi ab khwab hoin (Pg. 75)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now