Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun patton pe jama ho jaise

Bashir Badr

KHun patton pe jama ho jaise

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    ḳhuun pattoñ pe jamā ho jaise

    phuul rañg harā ho jaise

    bārhā ye hameñ mahsūs huā

    dard siine ḳhudā ho jaise

    yuuñ taras khā ke na pūchho ahvāl

    tiir siine pe lagā ho jaise

    phuul aañkh meñ shabnam kyuuñ hai

    sab hamārī ḳhatā ho jaise

    kircheñ chubhtī haiñ bahut siine meñ

    aa.ina TuuT gayā ho jaise

    sab hameñ dekhne aate haiñ magar

    niiñd āñkhoñ se ḳhafā ho jaise

    ab charāġhoñ zarūrat bhī nahīñ

    chāñd is dil meñ chhupā ho jaise

    roz aatī thī huā us tarah

    ab vo aayā to havā ho jaise

    KHun patton pe jama ho jaise

    phul ka rang hara ho jaise

    barha ye hamein mahsus hua

    dard sine ka KHuda ho jaise

    yun taras kha ke na puchho ahwal

    tir sine pe laga ho jaise

    phul ki aankh mein shabnam kyun hai

    sab hamari hi KHata ho jaise

    kirchen chubhti hain bahut sine mein

    aaina TuT gaya ho jaise

    sab hamein dekhne aate hain magar

    nind aankhon se KHafa ho jaise

    ab charaghon ki zarurat bhi nahin

    chand is dil mein chhupa ho jaise

    roz aati thi hua us ki tarah

    ab wo aaya to hawa ho jaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now