KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko
ḳhushbū kī tarah saath lagā le ga.ī ham ko
kūche se tire bād-e-sabā le ga.ī ham ko
patthar the ki gauhar the ab is baat kā kyā zikr
ik mauj bahar-hāl bahā le ga.ī ham ko
phir chhoḌ diyā reg-e-sar-e-rāh samajh kar
kuchh duur to mausam kī havā le ga.ī ham ko
tum kaise gire āñdhī meñ chhitnār darḳhto
ham log to patte the uḌā le ga.ī ham ko
ham kaun shanāvar the ki yuuñ paar utarte
sūkhe hue hoñToñ kī duā le ga.ī ham ko
is shahr meñ ġhārat-gar-e-īmāñ to bahut the
kuchh ghar kī sharāfat hī bachā le ga.ī ham ko
KHushbu ki tarah sath laga le gai hum ko
kuche se tere baad-e-saba le gai hum ko
patthar the ki gauhar the ab is baat ka kya zikr
ek mauj bahar-haal baha le gai hum ko
phir chhoD diya reg-e-sar-e-rah samajh kar
kuchh dur to mausam ki hawa le gai hum ko
tum kaise gire aandhi mein chhitnar darKHto
hum log to patte the uDa le gai hum ko
hum kaun shanawar the ki yun par utarte
sukhe hue honTon ki dua le gai hum ko
is shahr mein ghaarat-gar-e-iman to bahut the
kuchh ghar ki sharafat hi bacha le gai hum ko
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 27)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.