baala hai bahut martaba-e-KHak bhi mujh mein
baalā hai bahut martaba-e-ḳhāk bhī mujh meñ
rakhte haiñ qadam thaam ke aflāk bhī mujh meñ
ai mauj-e-ravāñ apne musāfir tū liye jā
Dūbeñge ye bhaTke hue tairāk bhī mujh meñ
sho'la to bahut sho'la mohabbat kā thā lekin
kuchh chhoḌ gayā hai ḳhas-o-ḳhāshāk bhī mujh meñ
baala hai bahut martaba-e-KHak bhi mujh mein
rakhte hain qadam tham ke aflak bhi mujh mein
ai mauj-e-rawan apne musafir tu liye ja
Dubenge ye bhaTke hue tairak bhi mujh mein
sho'la to bahut sho'la mohabbat ka tha lekin
kuchh chhoD gaya hai KHas-o-KHashak bhi mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.