amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main
amal kā radd-e-amal vaqt kā javāb huuñ maiñ
qubūl kījiye qudrat kā intiḳhāb huuñ maiñ
aziyyatoñ kā safar sabr aur ḳhāmoshī
abhī to saare mahāzoñ pe kāmyāb huuñ maiñ
tumhāre shauq meñ shāmil nahīñ junūn abhī
tumhārī tishna-labī ke liye sarāb huuñ maiñ
anā pe aa.ī to Takrā ga.ī huuñ dariyā se
bisāt vaise mirī kuchh nahīñ habāb huuñ maiñ
amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main
qubul kijiye qudrat ka intiKHab hun main
aziyyaton ka safar sabr aur KHamoshi
abhi to sare mahazon pe kaamyab hun main
tumhaare shauq mein shamil nahin junun abhi
tumhaari tishna-labi ke liye sarab hun main
ana pe aai to Takra gai hun dariya se
bisat waise meri kuchh nahin habab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.