agarche sae ka ham-sar nahin hun
agarche saa.e kā ham-sar nahīñ huuñ
suḳhan-mushtāq huuñ kam-tar nahīñ huuñ
mujhe dhoka diyā bhaa.ī ne mere
maiñ ghar meñ huuñ magar ghar par nahīñ huuñ
mire apne hue haiñ duur mujh se
akelā huuñ abhī lashkar nahīñ huuñ
vahī 'ādat mirī sach bolne kī
kisī bhī aañkh meñ behtar nahīñ huuñ
vo yādeñ dil se ruḳhsat ho rahī haiñ
maiñ tere dhyān kā mehvar nahīñ huuñ
kamā lūñgā maiñ itnī rozī-roTī
zamīn-e-ḳhushk huuñ banjar nahīñ huuñ
ye merā 'ishq ‘ishq-e-jāvedānī
maiñ miTTī huuñ koī ambar nahīñ huuñ
agarche sae ka ham-sar nahin hun
suKHan-mushtaq hun kam-tar nahin hun
mujhe dhoka diya bhai ne mere
main ghar mein hun magar ghar par nahin hun
mere apne hue hain dur mujh se
akela hun abhi lashkar nahin hun
wahi 'adat meri sach bolne ki
kisi bhi aankh mein behtar nahin hun
wo yaaden dil se ruKHsat ho rahi hain
main tere dhyan ka mehwar nahin hun
kama lunga main itni rozi-roTi
zamin-e-KHushk hun banjar nahin hun
ye mera 'ishq ‘ishq-e-jawedani
main miTTi hun koi ambar nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.