Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai

Ghulam Husain Sajid

KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai

Ghulam Husain Sajid

ḳhudā-e-bartar ne āsmāñ ko zamīn par mehrbāñ kiyā hai

magar mire ḳhvāb ke nagar ko charāġh ne ḳhush-gumāñ kiyā hai

suno ki maiñ ne dharī hai sat.h-e-ravāñ pe ik Doltī imārat

aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malāl pāsbāñ kiyā hai

mujhe yaqīñ hai ye sub.h-e-nau bhī mire sitāre saath degī

ki maiñ ne ik ism madad se ġhubār ko āsmāñ kiyā hai

ye sach hai merī sadā ne raushan kiye haiñ mehrāb par sitāre

magar mirī be-qarār āñkhoñ ne aa.ine ziyāñ kiyā hai

nigāh-e-nam-nāk ko lahū ne kiyā hai majbūr dekhne par

aur ek rabt-e-ḳhafī ko rasm-e-muġhāirat ne javāñ kiyā hai

kahīñ nahīñ hai masāfat-e-umr meñ kisī ḳhvāb paḌāv

so maiñ ne is be-kanār sahrā pe abr sā.ebāñ kiyā hai

sitār-e-ḳhvāb se bhī baḌh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne

charāġh aur aa.ine ko apne vajūd rāz-dāñ kiyā hai

KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai

magar mere KHwab ke nagar ko charagh ne KHush-guman kiya hai

suno ki main ne dhari hai sath-e-rawan pe ek Dolti imarat

aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malal ka pasban kiya hai

mujhe yaqin hai ye subh-e-nau bhi mere sitare ka sath degi

ki main ne ek ism ki madad se ghubar ko aasman kiya hai

ye sach hai meri sada ne raushan kiye hain mehrab par sitare

magar meri be-qarar aankhon ne aaine ka ziyan kiya hai

nigah-e-nam-nak ko lahu ne kiya hai majbur dekhne par

aur ek rabt-e-KHafi ko rasm-e-mughairat ne jawan kiya hai

kahin nahin hai masafat-e-umr mein kisi KHwab ka paDaw

so main ne is be-kanar sahra pe abr ka saeban kiya hai

sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne

charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai

Source :
  • Book : Monthly Usloob (Pg. 394)
  • Author : Mushfiq Khawaja
  • Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
  • Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now