Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi

Saurabh Shekhar

KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi

Saurabh Shekhar

ḳharābe meñ bauchhār ho kar rahegī

galī dil gulzār ho kar rahegī

hukūmat ġhamoñ nahīñ chalne vaalī

masarrat yalġhār ho kar rahegī

ki shāḳhoñ pe phūloñ ke guchchhe to dekho

ye baġhiyā samar-dār ho kar rahegī

bhare jā.eñge ġhaar parbat girā kar

ye dhartī to hamvār ho kar rahegī

lakīreñ faqat kheñchtā varaq par

koī shakl tayyār ho kar rahegī

maiñ aisā fasāna sunāne ko huuñ ab

ki shab bhar bedār ho kar rahegī

ye pāgal havā aur safar be-karāñ ye

judā sar se dastār ho kar rahegī

chalā.ūñgā tesha meñ ab 'ājizī

anā us mismār ho kar rahegī

KHarabe mein bauchhaar ho kar rahegi

gali dil ki gulzar ho kar rahegi

hukumat ghamon ki nahin chalne wali

masarrat ki yalghaar ho kar rahegi

ki shaKHon pe phulon ke guchchhe to dekho

ye baghiya samar-dar ho kar rahegi

bhare jaenge ghaar parbat gira kar

ye dharti to hamwar ho kar rahegi

lakiren faqat khenchta ja waraq par

koi shakl tayyar ho kar rahegi

main aisa fasana sunane ko hun ab

ki shab bhar tu bedar ho kar rahegi

ye pagal hawa aur safar be-karan ye

juda sar se dastar ho kar rahegi

chalaunga tesha mein ab 'ajizi ka

ana us ki mismar ho kar rahegi

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now