Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

so lene do apna apna kaam karo chup ho jao

Zulfiqar Aadil

so lene do apna apna kaam karo chup ho jao

Zulfiqar Aadil

so lene do apnā apnā kaam karo chup ho jaao

darvāzo kuchh vaqt guzāro dīvāro chup ho jaao

kis kashtī umr hai kitnī mallāhoñ se pūchhne do

tum se bhī pūchheñge ik din dariyāo chup ho jaao

dekh liyā āḳhir miTTī miTTī meñ mil jaatī hai

ḳhāmoshī se apnā apnā hissa lo chup ho jaao

is vīrān-sarā mālik ek purānī ḳhāmoshī

āvāzeñ detī rahtī hai mehmāno! chup ho jaao

aisā lagtā hai ham apnī manzil par aa pahuñche haiñ

duur kahīñ ye rone āvāz suno chup ho jaao

ḳhud ko sābit karne se bhī baḌh jaatī hai tanhā.ī

kaun girheñ khol rahe ho sehr-garo chup ho jaao

peḌ purānā ho jaatā hai na.e parinde aane se

baat adhūrī rahtī hai kuchh bhī kaho chup ho jaao

so lene do apna apna kaam karo chup ho jao

darwazo kuchh waqt guzaro diwaro chup ho jao

kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do

tum se bhi puchhenge ek din dariyao chup ho jao

dekh liya na aaKHir miTTi miTTi mein mil jati hai

KHamoshi se apna apna hissa lo chup ho jao

is viran-sara ki malik ek purani KHamoshi

aawazen deti rahti hai mehmano! chup ho jao

aisa lagta hai hum apni manzil par aa pahunche hain

dur kahin ye rone ki aawaz suno chup ho jao

KHud ko sabit karne se bhi baDh jati hai tanhai

kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jao

peD purana ho jata hai nae parinde aane se

baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jao

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now