lafzon ka anjam hai kaamil sannaTa
lafzoñ kā anjām hai kāmil sannāTā
goyā hogā aan muqābil sannāTā
tere baa'd bhī 'umr hamārī ḳhuub kaTī
cigarette kamrā yaad rasā.il sannāTā
ḳhvāb zarā sā pahroñ ḳhuun rulātā hai
laḌkā laḌkī dariyā sāhil sannāTā
mujh se tanhā.ī meñ bāteñ karte haiñ
album raat ḳhatoñ kī file sannāTā
lafzon ka anjam hai kaamil sannaTa
goya hoga aan muqabil sannaTa
tere ba'd bhi 'umr hamari KHub kaTi
cigarette kamra yaad rasail sannaTa
KHwab zara sa pahron KHun rulata hai
laDka laDki dariya sahil sannaTa
mujh se tanhai mein baaten karte hain
album raat KHaton ki file sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.