hath mein kya nahin ki tum se kahen
haath meñ kyā nahīñ ki tum se kaheñ
ham ko zebā nahīñ ki tum se kahīñ
dil kasī vajh se dukhī hai magar
kuchh bhī aisā nahīñ ki tum se kaheñ
zehn uljhā huā hai kuchh din se
lekin itnā nahīñ ki tum se kaheñ
tum se kahnā huā to keh deñge
ham se kahnā nahīñ ki tum se kaheñ
ye tumhārī purānī 'ādat hai
pahlī daf'a nahīñ ki tum se kaheñ
tum ko aatā nahīñ ki ham se kaho
ham se hotā nahīñ ki tum se kaheñ
kahe dete haiñ dil kī baat chalo
ḳhair bantā nahīñ ki tum se kaheñ
yūñhī ik kaifiyat sī hai 'javvād'
koī qissa nahīñ ki tum se kaheñ
hath mein kya nahin ki tum se kahen
hum ko zeba nahin ki tum se kahin
dil kasi wajh se dukhi hai magar
kuchh bhi aisa nahin ki tum se kahen
zehn uljha hua hai kuchh din se
lekin itna nahin ki tum se kahen
tum se kahna hua to keh denge
hum se kahna nahin ki tum se kahen
ye tumhaari purani 'adat hai
pahli daf'a nahin ki tum se kahen
tum ko aata nahin ki hum se kaho
hum se hota nahin ki tum se kahen
kahe dete hain dil ki baat chalo
KHair banta nahin ki tum se kahen
yunhi ek kaifiyat si hai 'jawwad'
koi qissa nahin ki tum se kahen
Kum Numa Urdu
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.