Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi

Nazir Wahid

dhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi

Nazir Wahid

dhaḌkaneñ mohabbat dil-nashīn ḳhāmoshī

marhabā ai hañgāmo āfrīn ḳhāmoshī

kaj-bayāñ Thikānoñ se duur ik ḳharābe meñ

ghar banā ke rahtī hai ik zahīn ḳhāmoshī

shaam hai ye va.ade ishq ke irāde

ik javāñ sannāTā ik hasīn ḳhāmoshī

sāmne jo aa jā.ūñ kaifiyat hayā phir

Taañk degī palkoñ par nāznīn ḳhāmoshī

TuuT kar jo bikhrūñgā dekh legī duniyā phir

ik makāñ mohabbat aur makīn ḳhāmoshī

guftugū to tujh se thī rū-ba-rū maiñ ḳhud se thā

ik falak hañgāma ik zamīn ḳhāmoshī

bevafā ḳhayāloñ se zaḳhm ke havāloñ se

kyā savāl kartī phir vo hasīn ḳhāmoshī

dhaDkanen mohabbat ki dil-nashin KHamoshi

marhaba ai hangamo aafrin KHamoshi

kaj-bayan Thikanon se dur ek KHarabe mein

ghar bana ke rahti hai ek zahin KHamoshi

sham hai ye wade ki ishq ke irade ki

ek jawan sa sannaTa ek hasin KHamoshi

samne jo aa jaun kaifiyat haya ki phir

Tank degi palkon par naznin KHamoshi

TuT kar jo bikhrunga dekh legi duniya phir

ek makan mohabbat ka aur makin KHamoshi

guftugu to tujh se thi ru-ba-ru main KHud se tha

ek falak sa hangama ek zamin KHamoshi

bewafa KHayalon se zaKHm ke hawalon se

kya sawal karti phir wo hasin KHamoshi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now