Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi

Gautam Rajrishi

bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi

Gautam Rajrishi

MORE BYGautam Rajrishi

    bas ga.ī hai rag rag meñ bām-o-dar ḳhāmoshī

    chīrtī jaatī hai mujh ko ghar ḳhāmoshī

    sub.h ke ubharne se shaam ke utarne tak

    kitnī jān-levā hai dopahar ḳhāmoshī

    chal rahī thī jab mere ghar ke jalne taftīsh

    dekhne ke qābil thī shahr bhar ḳhāmoshī

    kaaT haiñ tum ne to Tahniyāñ sabhī lekin

    sun sako jo kahtī hai chup shajar ḳhāmoshī

    toḌ bhī do chuppī ko rūThne ko taj Daalo

    ho ga.ī hai parbat baat bhar ḳhāmoshī

    paḌ ga.ī hai aadat ab saath tere chalne

    bin tire kaTe kaise ye safar ḳhāmoshī

    bas gai hai rag rag mein baam-o-dar ki KHamoshi

    chirti si jati hai mujh ko ghar ki KHamoshi

    subh ke ubharne se sham ke utarne tak

    kitni jaan-lewa hai dopahar ki KHamoshi

    chal rahi thi jab mere ghar ke jalne ki taftish

    dekhne ke qabil thi shahr bhar ki KHamoshi

    kaT li hain tum ne to Tahniyan sabhi lekin

    sun sako jo kahti hai chup shajar ki KHamoshi

    toD bhi do chuppi ko ruThne ko taj Dalo

    ho gai hai parbat si baat bhar ki KHamoshi

    paD gai hai aadat ab sath tere chalne ki

    bin tere kaTe kaise ye safar ki KHamoshi

    Source :
    • Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now