Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah

Aatish Bahawalpuri

KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah

Aatish Bahawalpuri

ḳhamosh baiThe ho kyuuñ sāz-e-be-sadā tarah

koī payām to do ramz-āshnā tarah

kahīñ tumhārī ravish ḳhār-o-gul pe baar na ho

riyāz-e-dahr se guzre chalo sabā tarah

niyāz-o-ijz me.arāj-e-ādamiyyat haiñ

baḌhāo dast-e-saḳhāvat bhī iltijā tarah

jo chāhte ho badalnā mizāj-e-tūfāñ ko

to nāḳhudā pe bharosā karo ḳhudā tarah

mujhe hamesha rah-e-zīst ke dorāhoñ par

ik ajnabī hai jo miltā hai āshnā tarah

tamām umr rahā sābiqa yazīdoñ se

mire liye to ye duniyā hai karbalā tarah

umiid un se vafā to ḳhair kyā kiije

jafā bhī karte nahīñ vo kabhī jafā tarah

ye dahr bhī to hai mai-ḳhāna-e-alast-numā

raho yahāñ bhī kisī riñd-e-pārsā tarah

zabāñ pe shikva-e-be-mehrī-e-ḳhudā kyuuñ hai?

duā to māñgiye 'ātish' kabhī duā tarah

KHamosh baiThe ho kyun saz-e-be-sada ki tarah

koi payam to do ramz-ashna ki tarah

kahin tumhaari rawish KHar-o-gul pe bar na ho

riyaz-e-dahr se guzre chalo saba ki tarah

niyaz-o-ijz hi mearaj-e-adamiyyat hain

baDhao dast-e-saKHawat bhi iltija ki tarah

jo chahte ho badalna mizaj-e-tufan ko

to naKHuda pe bharosa karo KHuda ki tarah

mujhe hamesha rah-e-zist ke dorahon par

ek ajnabi hai jo milta hai aashna ki tarah

tamam umr raha sabiqa yazidon se

mere liye to ye duniya hai karbala ki tarah

umid un se wafa ki to KHair kya kije

jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah

ye dahr bhi to hai mai-KHana-e-alast-numa

raho yahan bhi kisi rind-e-parsa ki tarah

zaban pe shikwa-e-be-mehri-e-KHuda kyun hai?

dua to mangiye 'atish' kabhi dua ki tarah

Source :
  • Book : Jada-e-manzil (Pg. 11)
  • Author : Atish Bahawalpuri
  • Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
  • Edition : 2001
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now