Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha

Nazeer Baaqri

kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha

Nazeer Baaqri

MORE BYNazeer Baaqri

    kaun pahchāne mujhe shab bhar to ḳhatroñ meñ rahā

    vo añdherā huuñ jo din bhar band kamroñ meñ rahā

    sab nazreñ roz paḌtī thiiñ koī paḌhtā na thā

    maiñ to har aḳhbār gumnām ḳhabroñ meñ rahā

    maiñ ne duniyā chhoḌ lekin mirā murda badan

    ek uljhan tarah qātil nazroñ meñ rahā

    aaj insān chādar oḌh kar ehsās

    zindagī ke shahr meñ kar bhī qabroñ meñ rahā

    vaqt ne qatroñ ko samjhā hai samundar tarah

    jo samundar thā hamesha chand qatroñ meñ rahā

    jis ko baḳhshā hai ḳhudā ne fikr jazba 'nazīr'

    vo purānī aur na.ī saarī qadroñ meñ rahā

    kaun pahchane mujhe shab bhar to KHatron mein raha

    wo andhera hun jo din bhar band kamron mein raha

    sab ki nazren roz paDti thin koi paDhta na tha

    main to har aKHbar ki gumnam KHabron mein raha

    main ne duniya chhoD di lekin mera murda badan

    ek uljhan ki tarah qatil ki nazron mein raha

    aaj ka insan chadar oDh kar ehsas ki

    zindagi ke shahr mein ji kar bhi qabron mein raha

    waqt ne qatron ko samjha hai samundar ki tarah

    jo samundar tha hamesha chand qatron mein raha

    jis ko baKHsha hai KHuda ne fikr ka jazba 'nazir'

    wo purani aur nai sari hi qadron mein raha

    Source :
    • Book : Etemaad (Pg. 43)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now