kaun kahe masum hamara bachpan tha
kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā
khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā
kāñch kī chūḌī le kar maiñ jab tak lauTā
us ke hāthoñ meñ sone kā kañgan thā
jo bhī milā sab baañT liyā thā aapas meñ
ek the ham aur ek hī apnā bartan thā
aks nahīñ thā rañgoñ kī bauchhāreñ thiiñ
ruup se us ke sahmā huā har darpan thā
ro-dho kar so jaatā lekin dard tirā
ik ik buuñd nichoḌne vaalā sāvan thā
tujh se bichhaḌ kar aur tirī yaad aa.egī
shāyad aisā sochnā merā bachpan thā
kaun kahe masum hamara bachpan tha
khel mein bhi to aadha aadha aangan tha
kanch ki chuDi le kar main jab tak lauTa
us ke hathon mein sone ka kangan tha
jo bhi mila sab banT liya tha aapas mein
ek the hum aur ek hi apna bartan tha
aks nahin tha rangon ki bauchhaaren thin
rup se us ke sahma hua har darpan tha
ro-dho kar so jata lekin dard tera
ek ek bund nichoDne wala sawan tha
tujh se bichhaD kar aur teri yaad aaegi
shayad aisa sochna mera bachpan tha
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 40)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.