kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho
kūcha-e-yār meñ ab jaane guzar ho ki na ho
vahī vahshat vahī saudā vahī sar ho ki na ho
jaane ik rañg sā ab ruḳh pe tire aa.e na aa.e
nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho
ab musalsal bhī jo dhaḌke dil-e-nāshād mirā
kis ko mālūm tire dil ko ḳhabar ho ki na ho
qahr meñ lutf meñ mad-hoshī o hushyārī meñ
vo mire vāste taḳhsīs-e-nazar ho ki na ho
hijr kī raat thī imkān-e-sahar se raushan
jaane ab us meñ vo imkān-e-sahar ho ki na ho
kucha-e-yar mein ab jaane guzar ho ki na ho
wahi wahshat wahi sauda wahi sar ho ki na ho
jaane ek rang sa ab ruKH pe tere aae na aae
nafas-e-shauq se gul shola-e-tar ho ki na ho
ab musalsal bhi jo dhaDke dil-e-nashad mera
kis ko malum tere dil ko KHabar ho ki na ho
qahr mein lutf mein mad-hoshi o hushyari mein
wo mere waste taKHsis-e-nazar ho ki na ho
hijr ki raat thi imkan-e-sahar se raushan
jaane ab us mein wo imkan-e-sahar ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.