har shai tujhi ko samne lae to kya karun
har shai tujhī ko sāmne laa.e to kyā karūñ
har shai meñ tū hī tū nazar aa.e to kyā karūñ
tham tham ke aañkh ashk bahā.e to kyā karūñ
rah rah ke terī yaad satā.e to kyā karūñ
ye to batāte jaao agar jā rahe ho tum!
mujh ko tumhārī yaad satā.e to kyā karūñ
maanā sukūñ-navāz hai har shai bahār meñ
tere baġhair chain na aa.e to kyā karūñ
har she'r meñ sunā to gayā huuñ maiñ hāl-e-dil
lekin tirī samajh meñ na aa.e to kyā karūñ
ab 'ishq se ziyāda ġham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalā.e to kyā karūñ
dil ho gayā hai ḳhūgar-e-bedād 'ishq meñ
un kī vafā bhī raas na aa.e to kyā karūñ
us sharm-gīñ nazar kā tasavvur agar 'shamīm'
bijlī dil-o-nazar pe girā.e to kyā karūñ
har shai tujhi ko samne lae to kya karun
har shai mein tu hi tu nazar aae to kya karun
tham tham ke aankh ashk bahae to kya karun
rah rah ke teri yaad satae to kya karun
ye to batate jao agar ja rahe ho tum!
mujh ko tumhaari yaad satae to kya karun
mana sukun-nawaz hai har shai bahaar mein
tere baghair chain na aae to kya karun
har she'r mein suna to gaya hun main haal-e-dil
lekin teri samajh mein na aae to kya karun
ab 'ishq se ziyaada gham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalae to kya karun
dil ho gaya hai KHugar-e-bedad 'ishq mein
un ki wafa bhi ras na aae to kya karun
us sharm-gin nazar ka tasawwur agar 'shamim'
bijli dil-o-nazar pe girae to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.