hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
haiñ ravāñ us raah par jis kī koī manzil na ho
justujū karte haiñ us kī jo hameñ hāsil na ho
dasht-e-najd-e-yās meñ dīvāngī ho har taraf
har taraf mahmil kā shak ho par kahīñ mahmil na ho
vahm ye tujh ko ajab hai ai jamāl-e-kam-numā
jaise sab kuchh ho magar tū diid ke qābil na ho
vo khaḌā hai ek bāb-e-ilm kī dahlīz par
maiñ ye kahtā huuñ use is ḳhauf meñ dāḳhil na ho
chāhtā huuñ maiñ 'munīr' is umr ke anjām par
ek aisī zindagī jo is tarah mushkil na ho
hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
justuju karte hain us ki jo hamein hasil na ho
dasht-e-najd-e-yas mein diwangi ho har taraf
har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
wo khaDa hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is KHauf mein daKHil na ho
chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par
ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 722)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.