ek aansu mein tere gham ka ahata karte
ek aañsū meñ tire ġham kā ahāta karte
umr lag jā.egī is buuñd ko dariyā karte
ishq meñ jaañ se guzarnā bhī kahāñ hai mushkil
jaan denī ho to āshiq nahīñ sochā karte
ek tū hī nazar aatā hai jidhar dekhtā huuñ
aur āñkheñ nahīñ thaktī haiñ tamāshā karte
zindagī ne hameñ fursat hī nahīñ dī varna
sāmne tujh ko biThā baiTh ke dekhā karte
ham sazā-vār-e-tamāshā the hameñ dekhnā thā
apne hī qatl kā manzar thā magar kyā karte
ab yahī sochte rahte haiñ bichhaḌ kar tujh se
shāyad aise nahīñ hotā agar aisā karte
jo bhī ham dekhte haiñ saaf nazar aa jaatā
chashm-e-hairat ko agar dīda-e-bīnā karte
shahr ke log ab ilzām tumheñ dete haiñ
ḳhud bure ban ga.e 'āsim' use achchhā karte
ek aansu mein tere gham ka ahata karte
umr lag jaegi is bund ko dariya karte
ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil
jaan deni ho to aashiq nahin socha karte
ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun
aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte
zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna
samne tujh ko biTha baiTh ke dekha karte
hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha
apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte
ab yahi sochte rahte hain bichhaD kar tujh se
shayad aise nahin hota agar aisa karte
jo bhi hum dekhte hain saf nazar aa jata
chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte
shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain
KHud bure ban gae 'asim' use achchha karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.