Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi

Ahmad Faraz

kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi

Ahmad Faraz

kashīda sar se tavaqqo.a abas jhukāv thī

bigaḌ gayā huuñ ki sūrat yahī banāv thī

vo jis ghamanD se bichhḌā gila to is hai

ki saarī baat mohabbat meñ rakh-rakhāv thī

vo mujh se pyaar na kartā to aur kyā kartā

ki dushmanī meñ bhī shiddat isī lagāv thī

magar ye dard-e-talab bhī sarāb niklā

vafā lahr bhī jazbāt ke bahāv thī

akele paar utar kar ye nāḳhudā ne kahā

musāfiro yahī qismat shikasta naav thī

charāġh-e-jāñ ko kahāñ tak bachā ke ham rakhte

havā bhī tez thī manzil bhī chal-chalāv thī

maiñ zindagī se nabard-āzmā rahā huuñ 'farāz'

maiñ jāntā thā yahī raah ik bachāv thī

kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi

bigaD gaya hun ki surat yahi banaw ki thi

wo jis ghamanD se bichhDa gila to is ka hai

ki sari baat mohabbat mein rakh-rakhaw ki thi

wo mujh se pyar na karta to aur kya karta

ki dushmani mein bhi shiddat isi lagaw ki thi

magar ye dard-e-talab bhi sarab hi nikla

wafa ki lahr bhi jazbaat ke bahaw ki thi

akele par utar kar ye naKHuda ne kaha

musafiro yahi qismat shikasta naw ki thi

charagh-e-jaan ko kahan tak bacha ke hum rakhte

hawa bhi tez thi manzil bhi chal-chalaw ki thi

main zindagi se nabard-azma raha hun 'faraaz'

main jaanta tha yahi rah ek bachaw ki thi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

kashida sar se tawaqqoa abas jhukaw ki thi Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now