Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein

Firaq Gorakhpuri

kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein

Firaq Gorakhpuri

kamī na tire vahshī ne ḳhaak uḌāne meñ

junūñ naam uchhaltā rahā zamāne meñ

'firāq' dauḌ ga.ī ruuh zamāne meñ

kahāñ dard bharā thā mire fasāne meñ

junūñ se bhuul huī dil pe choT khāne meñ

'firāq' der abhī thī bahār aane meñ

vo koī rang hai jo uḌ na jaa.e ai gul-e-tar

vo koī hai jo rusvā na ho zamāne meñ

vo āstīñ hai koī jo lahū na de nikle

vo koī husn hai jhijhke jo rang laane meñ

ye gul khile haiñ ki choTeñ jigar ubhrī haiñ

nihāñ bahār thī bulbul tire tarāne meñ

bayān-e-sham.a hai hāsil yahī hai jalne

fanā kaifiyateñ dekh jhilmilāne meñ

kisī hālat-e-dil sun ke uTh ga.iiñ āñkheñ

ki jaan paḌ ga.ī hasrat bhare fasāne meñ

usī sharh hai ye uThte dard aalam

jo dāstāñ thī nihāñ tere aañkh uThāne meñ

ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost

vo terī yaad meñ hoñ tujhe bhulāne meñ

hamīñ haiñ gul hamīñ bulbul hamīñ havā-e-chaman

'firāq' ḳhvāb ye dekhā hai qaid-ḳhāne meñ

kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein

junun ka nam uchhalta raha zamane mein

'firaq' dauD gai ruh si zamane mein

kahan ka dard bhara tha mere fasane mein

junun se bhul hui dil pe choT khane mein

'firaq' der abhi thi bahaar aane mein

wo koi rang hai jo uD na jae ai gul-e-tar

wo koi bu hai jo ruswa na ho zamane mein

wo aastin hai koi jo lahu na de nikle

wo koi husn hai jhijhke jo rang lane mein

ye gul khile hain ki choTen jigar ki ubhri hain

nihan bahaar thi bulbul tere tarane mein

bayan-e-shama hai hasil yahi hai jalne ka

fana ki kaifiyaten dekh jhilmilane mein

kisi ki haalat-e-dil sun ke uTh gain aankhen

ki jaan paD gai hasrat bhare fasane mein

usi ki sharh hai ye uThte dard ka aalam

jo dastan thi nihan tere aankh uThane mein

gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost

wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein

hamin hain gul hamin bulbul hamin hawa-e-chaman

'firaq' KHwab ye dekha hai qaid-KHane mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kami na ki tere wahshi ne KHak uDane mein Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now