Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha

Ehsan Danish

kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha

Ehsan Danish

kal raat kuchh ajiib samāñ ġham-kade meñ thā

maiñ jis ko DhūñDhtā thā mire aa.ine meñ thā

jis nigāh meñ thiiñ sitāroñ manzileñ

vo mīr-e-kā.enāt usī qāfile meñ thā

rahgīr sun rahe the ye kis jashn-e-nau shor

kal raat merā zikr ye kis silsile meñ thā

raqsāñ the riñd jaise bhañvar meñ shafaq ke phuul

jo paañv paḌ rahā thā baḌe qā.ede meñ thā

chhiḌkā jise 'adam ke samundar pe aap ne

sahrā tamām ḳhaak ke us bulbule meñ thā

mannat-guzār-e-ahl-e-havas ho sakā na dil

haa.il mirā zamīr mire rāste meñ thā

hai farz is atā-e-junūñ bhī shukriya

lekin ye be-shumār karam kis sile meñ thā

ab aa ke kah rahe ho ki rusvā.ī se Daro

ye baal to kabhī mire aa.ine meñ thā

suntā huuñ sar-nigūñ the farishte mire huzūr

maiñ jaane apnī zaat ke kis marhale meñ thā

haiñ sabt mere dil pe zamāne Thokareñ

maiñ ek sang-e-rāh thā jis rāste meñ thā

kuchh bhī na thā azal meñ ba-juz sho.ala-e-vajūd

haañ duur tak 'adam dhuāñ hāshiye meñ thā

maiñ ne jo apnā naam pukārā to hañs paḌā

ye mujh kaun shaḳhs mire rāste meñ thā

thī nuqta-e-nigāh tak āzādī-e-amal

parkār tarah maiñ ravāñ dā.ere meñ thā

zanjīr sadā thī na mauj-e-shamīm-e-zulf

ye kyā tilism un ke mire fāsle meñ thā

ab ruuh e'tirāf-e-badan se hai munharif

ik ye bhī sañg-e-mīl mire rāste meñ thā

'dānish' ka.ī nasheb-e-nazar se guzar ga.e

har riñd aa.ine tarah mai-kade meñ thā

kal raat kuchh ajib saman gham-kade mein tha

main jis ko DhunDhta tha mere aaine mein tha

jis ki nigah mein thin sitaron ki manzilen

wo mir-e-kaenat usi qafile mein tha

rahgir sun rahe the ye kis jashn-e-nau ka shor

kal raat mera zikr ye kis silsile mein tha

raqsan the rind jaise bhanwar mein shafaq ke phul

jo panw paD raha tha baDe qaede mein tha

chhiDka jise 'adam ke samundar pe aap ne

sahra tamam KHak ke us bulbule mein tha

mannat-guzar-e-ahl-e-hawas ho saka na dil

hail mera zamir mere raste mein tha

hai farz is ata-e-junun ka bhi shukriya

lekin ye be-shumar karam kis sile mein tha

ab aa ke kah rahe ho ki ruswai se Daro

ye baal to kabhi ka mere aaine mein tha

sunta hun sar-nigun the farishte mere huzur

main jaane apni zat ke kis marhale mein tha

hain sabt mere dil pe zamane ki Thokaren

main ek sang-e-rah tha jis raste mein tha

kuchh bhi na tha azal mein ba-juz shoala-e-wajud

han dur tak 'adam ka dhuan hashiye mein tha

main ne jo apna nam pukara to hans paDa

ye mujh sa kaun shaKHs mere raste mein tha

thi nuqta-e-nigah tak aazadi-e-amal

parkar ki tarah main rawan daere mein tha

zanjir ki sada thi na mauj-e-shamim-e-zulf

ye kya tilism un ke mere fasle mein tha

ab ruh e'tiraf-e-badan se hai munharif

ek ye bhi sang-e-mil mere raste mein tha

'danish' kai nasheb-e-nazar se guzar gae

har rind aaine ki tarah mai-kade mein tha

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now