kaisi sohbat hai kaisi tanhai
kaisī sohbat hai kaisī tanhā.ī
ham haiñ ik dūsre kī tanhā.ī
pahlā din hai zamīñ pe aadam kā
pahlī hijrat hai pahlī tanhā.ī
aadhe bistar pe aa baḌho tum bhī
baañT leñ aadhī aadhī tanhā.ī
guftugū ne thakā diyā hai bahut
aa mirī dost merī tanhā.ī
jab ḳhudā bhī nahīñ thā saath mare
mujh pe biitī hai aisī tanhā.ī
maiñ ne samjhī zabāñ ḳhamoshī kī
aisī majlis se achchhī tanhā.ī
kaisi sohbat hai kaisi tanhai
hum hain ek dusre ki tanhai
pahla din hai zamin pe aadam ka
pahli hijrat hai pahli tanhai
aadhe bistar pe aa baDho tum bhi
banT len aadhi aadhi tanhai
guftugu ne thaka diya hai bahut
aa meri dost meri tanhai
jab KHuda bhi nahin tha sath mare
mujh pe biti hai aisi tanhai
main ne samjhi zaban KHamoshi ki
aisi majlis se achchhi tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.