Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

Ahmad Mushtaq

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

Ahmad Mushtaq

Interesting Fact

Shamsur Rahman Faruqi's historic novel "Kai Chaand the Sar-e-Aasmaan", the title has been picked from second sher of this ghazal.

kahūñ kis se raat mājrā na.e manzaroñ pe nigāh thī

na kisī dāman-e-chāk thā na kisī tarf-e-kulāh thī

ka.ī chāñd the sar-e-āsmāñ ki chamak chamak ke palaT ga.e

na lahū mire jigar meñ thā na tumhārī zulf siyāh thī

dil-e-kam-alam pe vo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake

na hazar rāhat-e-rūh thā na safar meñ rāmish raah thī

mire chār-dāñg thī jalvagar vahī lazzat-e-talab-e-sahar

magar ik ummīd-e-shikasta-par ki misāl-e-dard siyāh thī

vo jo raat mujh ko baḌe adab se salām kar ke chalā gayā

use kyā ḳhabar mire dil meñ bhī kabhī ārzū-e-gunāh thī

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi

na kisi ka daman-e-chaak tha na kisi ki tarf-e-kulah thi

kai chand the sar-e-asman ki chamak chamak ke palaT gae

na lahu mere hi jigar mein tha na tumhaari zulf siyah thi

dil-e-kam-alam pe wo kaifiyat ki Thahar sake na guzar sake

na hazar hi rahat-e-ruh tha na safar mein ramish rah thi

mere chaar-dang thi jalwagar wahi lazzat-e-talab-e-sahar

magar ek ummid-e-shikasta-par ki misal-e-dard siyah thi

wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya

use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kahun kis se raat ka majra nae manzaron pe nigah thi Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now