Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaho to nam main de dun ise mohabbat ka

Fatima Hasan

kaho to nam main de dun ise mohabbat ka

Fatima Hasan

kaho to naam maiñ de duuñ ise mohabbat

jo ik alaav hai jaltī huī rifāqat

jise bhī dekho chalā rahā hai tezī se

agarche kaam yahāñ kuchh nahīñ hai ujlat

dikhā.ī detā hai jo kuchh kahīñ vo ḳhvāb na ho

jo sun rahī huuñ vo dhokā na ho samā.at

yaqīn karne lage log rut badaltī hai

magar ye sach bhī karishma na ho ḳhitābat

sañvārtī rahī ghar ko magar ye bhuul ga.ī

ki muḳhtasar hai ye arsa yahāñ sukūnat

chalo ki is meñ bhī ik-ādh kaam kar Dāleñ

jo mil gayā hai ye lamha zarā mohlat

kaho to nam main de dun ise mohabbat ka

jo ek alaw hai jalti hui rifaqat ka

jise bhi dekho chala ja raha hai tezi se

agarche kaam yahan kuchh nahin hai ujlat ka

dikhai deta hai jo kuchh kahin wo KHwab na ho

jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka

yaqin karne lage log rut badalti hai

magar ye sach bhi karishma na ho KHitabat ka

sanwarti rahi ghar ko magar ye bhul gai

ki muKHtasar hai ye arsa yahan sukunat ka

chalo ki is mein bhi ik-adh kaam kar Dalen

jo mil gaya hai ye lamha zara si mohlat ka

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 05.10.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now