kahne se na mana kar kahunga
kahne se na man.a kar kahūñgā
tū merī na sun magar kahūñgā
tum aap hī aa.e yuuñ hī sach hai
naale ko na be-asar kahūñgā
gar kuchh bhī suneñge vo shab-e-vasl
kyā kyā na meñ tā-sahar kahūñgā
kahte haiñ jo chāhte haiñ dushman
maiñ aur tumheñ fitna-gar kahūñgā
kahte to ye ho ki tū hai achchhā
mānoge burā agar kahūñgā
yuuñ dekh ke mujh ko muskurānā
phir tum ko maiñ be-ḳhabar kahūñgā
ik baat likhī hai kyā hī maiñ ne
tujh se to na nāma-bar kahūñgā
kab tum to kahoge mujh se pūchho
maiñ bā.is-e-dard-e-sar kahūñgā
tujh se hī chhupā.ūñgā ġham apnā
tujh se hī kahūñgā gar kahūñgā
ma.alūm hai mujh ko jo kahoge
maiñ tum se bhī pesh-tar kahūñgā
hairat se kuchh un se kah sakūñgā
bhūlūñgā kā idhar udhar kahūñgā
kuchh dard-e-jigar kā hogā baa.is
kyuuñ tujh se maiñ chāra-gar kahūñgā
ab hāl-e-'nizām' kuchh na pūchho
ġham hogā tumheñ bhī gar kahūñgā
kahne se na mana kar kahunga
tu meri na sun magar kahunga
tum aap hi aae yun hi sach hai
nale ko na be-asar kahunga
gar kuchh bhi sunenge wo shab-e-wasl
kya kya na mein ta-sahar kahunga
kahte hain jo chahte hain dushman
main aur tumhein fitna-gar kahunga
kahte to ye ho ki tu hai achchha
manoge bura agar kahunga
yun dekh ke mujh ko muskurana
phir tum ko main be-KHabar kahunga
ek baat likhi hai kya hi main ne
tujh se to na nama-bar kahunga
kab tum to kahoge mujh se puchho
main bais-e-dard-e-sar kahunga
tujh se hi chhupaunga gham apna
tujh se hi kahunga gar kahunga
malum hai mujh ko jo kahoge
main tum se bhi pesh-tar kahunga
hairat se kuchh un se kah sakunga
bhulunga ka idhar udhar kahunga
kuchh dard-e-jigar ka hoga bais
kyun tujh se main chaara-gar kahunga
ab haal-e-'nizam' kuchh na puchho
gham hoga tumhein bhi gar kahunga
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.