Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai

Akhtar Saeed Khan

kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai

Akhtar Saeed Khan

kabhī zabāñ pe na aayā ki aarzū kyā hai

ġharīb dil pe ajab hasratoñ saayā hai

sabā ne jāgtī āñkhoñ ko chuum chuum liyā

na jaane āḳhir-e-shab intizār kis hai

ye kis jalvagarī kā.enāt hai merī

ki ḳhaak ho ke bhī dil shola-e-tamannā hai

tirī nazar bahār-āfrīniyāñ taslīm

magar ye dil meñ jo kāñTā ik khaTaktā hai

jahān-e-fikr-o-nazar uḌā rahī hai hañsī

ye zindagī jo sar-e-rahguzar tamāshā hai

ye dasht vo hai jahāñ rāsta nahīñ miltā

abhī se lauT chalo ghar abhī ujālā hai

yahī rahā hai bas ik dil ke ġham-gusāroñ meñ

Thahar Thahar ke jo aañsū palak tak aatā hai

Thahar ga.e ye kahāñ aa ke roz o shab 'aḳhtar'

ki āftāb hai sar par magar añdherā hai

kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai

gharib dil pe ajab hasraton ka saya hai

saba ne jagti aankhon ko chum chum liya

na jaane aaKHir-e-shab intizar kis ka hai

ye kis ki jalwagari kaenat hai meri

ki KHak ho ke bhi dil shola-e-tamanna hai

teri nazar ki bahaar-afriniyan taslim

magar ye dil mein jo kanTa sa ek khaTakta hai

jahan-e-fikr-o-nazar ki uDa rahi hai hansi

ye zindagi jo sar-e-rahguzar tamasha hai

ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta

abhi se lauT chalo ghar abhi ujala hai

yahi raha hai bas ek dil ke gham-gusaron mein

Thahar Thahar ke jo aansu palak tak aata hai

Thahar gae ye kahan aa ke roz o shab 'aKHtar'

ki aaftab hai sar par magar andhera hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now