Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

Sarvat Husain

kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

Sarvat Husain

MORE BYSarvat Husain

    kabhī teġh-e-tez supurd kabhī tohfa-e-gul-e-tar diyā

    kisī shāh-zādī ke ishq ne mirā dil sitāroñ se bhar diyā

    ye jo raushnī hai kalām meñ ki baras rahī hai tamām meñ

    mujhe sabr ne ye samar diyā mujhe zabt ne ye hunar diyā

    zamīñ chhoḌ kar nahīñ jā.ūñgā nayā shahr ek basā.ūñgā!

    mire baḳht ne mire ahd ne mujhe iḳhtiyār agar diyā

    kisī zaḳhm-e-tāza chaah meñ kahīñ bhuul baiThūñ na raah meñ

    kisī naujavāñ nigāh ne jo payām vaqt-e-sahar diyā

    mire saath būd-o-nabūd meñ jo dhaḌak rahā hai vajūd meñ

    isī dil ne ek jahān mujhe rū-shanās to kar diyā

    kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya

    kisi shah-zadi ke ishq ne mera dil sitaron se bhar diya

    ye jo raushni hai kalam mein ki baras rahi hai tamam mein

    mujhe sabr ne ye samar diya mujhe zabt ne ye hunar diya

    zamin chhoD kar nahin jaunga naya shahr ek basaunga!

    mere baKHt ne mere ahd ne mujhe iKHtiyar agar diya

    kisi zaKHm-e-taza ki chah mein kahin bhul baiThun na rah mein

    kisi naujawan ki nigah ne jo payam waqt-e-sahar diya

    mere sath bud-o-nabud mein jo dhaDak raha hai wajud mein

    isi dil ne ek jahan ka mujhe ru-shanas to kar diya

    Source :
    • Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 45)
    • Author : Sarvat Husain
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now