Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

Ismail Merathi

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

Ismail Merathi

kabhī taqsīr jis ne nahīñ

ham se pūchho to aadmī nahīñ

mar chuke jīte-jī ḳhushā qismat

is se achchhī to zindagī nahīñ

dostī aur kisī ġharaz ke liye

vo tijārat hai dostī nahīñ

vafā na thī zamāne meñ

magar dostoñ ne nahīñ

kuchh mirī baat kīmiyā to na thī

aisī bigḌī ki phir banī nahīñ

jis ḳhushī ko na ho qayām-o-davām

ġham se bad-tar hai vo ḳhushī nahīñ

bandagī shu.ūr hai jab tak

banda-parvar vo bandagī nahīñ

ek do ghūñT jām-e-vahdat ke

jo na le vo muttaqī nahīñ

hai zāhid ne aap duniyā tark

muqaddar meñ us ke thī nahīñ

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin

hum se puchho to aadmi hi nahin

mar chuke jite-ji KHusha qismat

is se achchhi to zindagi hi nahin

dosti aur kisi gharaz ke liye

wo tijarat hai dosti hi nahin

ya wafa hi na thi zamane mein

ya magar doston ne ki hi nahin

kuchh meri baat kimiya to na thi

aisi bigDi ki phir bani hi nahin

jis KHushi ko na ho qayam-o-dawam

gham se bad-tar hai wo KHushi hi nahin

bandagi ka shuur hai jab tak

banda-parwar wo bandagi hi nahin

ek do ghunT jam-e-wahdat ke

jo na pi le wo muttaqi hi nahin

ki hai zahid ne aap duniya tark

ya muqaddar mein us ke thi hi nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

kabhi taqsir jis ne ki hi nahin Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now