kabhi jhiDki se kabhi pyar se samjhate rahe
kabhī jhiḌkī se kabhī pyaar se samjhāte rahe
ham ga.ī raat pe dil ko liye bahlāte rahe
apne aḳhlāq kī shohrat ne ajab din dikhlā.e
vo bhī aate rahe ahbāb bhī saath aate rahe
ham ne to luT ke mohabbat kī rivāyat rakh lī
un se to pochhiye vo kis liye pachhtāte rahe
us ke to naam se vābasta hai kaliyoñ kā gudāz
āñsūo tum se to patthar bhī pighal jaate rahe
yuuñ to nā-ahloñ ke piine pe jigar kaTtā thā
ham bhī paimāne ko paimāne se Takrāte rahe
un kī ye vaz-e-qadīmāna bhī allāh allāh!
pahle ehsān kiyā ba.ad ko sharmāte rahe
yuuñ kise miltī hai ma.amūl se fursat lekin
ham to is lutf-e-ġham-e-yār se bhī jaate rahe
kabhi jhiDki se kabhi pyar se samjhate rahe
hum gai raat pe dil ko liye bahlate rahe
apne aKHlaq ki shohrat ne ajab din dikhlae
wo bhi aate rahe ahbab bhi sath aate rahe
hum ne to luT ke mohabbat ki riwayat rakh li
un se to pochhiye wo kis liye pachhtate rahe
us ke to nam se wabasta hai kaliyon ka gudaz
aansuo tum se to patthar bhi pighal jate rahe
yun to na-ahlon ke pine pe jigar kaTta tha
hum bhi paimane ko paimane se Takraate rahe
un ki ye waz-e-qadimana bhi allah allah!
pahle ehsan kiya baad ko sharmate rahe
yun kise milti hai mamul se fursat lekin
hum to is lutf-e-gham-e-yar se bhi jate rahe
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(shahr-e-aazar) (Pg. 161)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.