Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai

Mushafi Ghulam Hamdani

kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai

Mushafi Ghulam Hamdani

kab sabā sū-e-asīrān-e-qafas aatī hai

kab ye un tak ḳhabar-e-āmad-e-gul laatī hai

duḳhtar-e-raz huuñ sohbat mubāshir kyūñkar

abhī kam-sin hai bahut mard se sharmātī hai

kyūñki farba na nazar aave tirī zulf laT

joñk ye to mirā ḳhuun jaatī hai

jism ne rūh-e-ravāñ se ye kahā turbat meñ

ab mujhe chhoḌ ke tanhā kahāñ jaatī hai

kyā magar us ne sunā shuhra-e-husn us gul

āñkheñ kohhāl se nargis bhī jo banvātī hai

laakh ham sher kaheñ laakh ibārat likkheñ

baat vo hai jo tire dil meñ jagah paatī hai

hove kis tarah dilerāna vo āshiq se do-chār

apne bhī aks se jo aañkh ki sharmātī hai

'mus.hafī' ko nahīñ kuchh vasf-e-izāfī se to kaam

sher kahnā zi-bas us sifat-e-zātī hai

kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai

kab ye un tak KHabar-e-amad-e-gul lati hai

duKHtar-e-raz ki hun sohbat ka mubashir kyunkar

abhi kam-sin hai bahut mard se sharmati hai

kyunki farba na nazar aawe teri zulf ki laT

jonk si ye to mera KHun hi pi jati hai

jism ne ruh-e-rawan se ye kaha turbat mein

ab mujhe chhoD ke tanha tu kahan jati hai

kya magar us ne suna shuhra-e-husn us gul ka

aankhen kohhaal se nargis bhi jo banwati hai

lakh hum sher kahen lakh ibarat likkhen

baat wo hai jo tere dil mein jagah pati hai

howe kis tarah dilerana wo aashiq se do-chaar

apne bhi aks se jo aankh ki sharmati hai

'mushafi' ko nahin kuchh wasf-e-izafi se to kaam

sher kahna zi-bas us ka sifat-e-zati hai

Source :
  • Book : kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 312)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now