Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juz tere koi bhi din raat na jaane mere

Ahmad Faraz

juz tere koi bhi din raat na jaane mere

Ahmad Faraz

juz tire koī bhī din raat na jaane mere

kahāñ hai magar ai dost purāne mere

bhī ḳhushbū hai magar merā tajassus bekār

barg-e-āvāra mānind Thikāne mere

sham.a lau thī ki vo thā magar hijr raat

der tak rotā rahā koī sirhāne mere

ḳhalq be-ḳhabarī hai ki mirī rusvā.ī

log mujh ko sunāte haiñ fasāne mere

luT ke bhī ḳhush huuñ ki ashkoñ se bharā hai dāman

dekh ġhārat-gar-e-dil ye bhī ḳhazāne mere

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

kaash bhī merī āvāz kahīñ suntā ho

phir pukārā hai tujhe dil sadā ne mere

kaash bhī kabhī aa jaa.e masīhā.ī ko

log aate haiñ bahut dil ko dukhāne mere

kaash auroñ tarah maiñ bhī kabhī kah saktā

baat sun hai mirī aaj ḳhudā ne mere

hai kis haal meñ ai zūd-farāmosh mire

mujh ko to chhīn liyā ahd-e-vafā ne mere

chārā-gar yuuñ to bahut haiñ magar ai jān-e-'farāz'

juz tire aur koī zaḳhm na jaane mere

juz tere koi bhi din raat na jaane mere

tu kahan hai magar ai dost purane mere

tu bhi KHushbu hai magar mera tajassus bekar

barg-e-awara ki manind Thikane mere

shama ki lau thi ki wo tu tha magar hijr ki raat

der tak rota raha koi sirhane mere

KHalq ki be-KHabari hai ki meri ruswai

log mujh ko hi sunate hain fasane mere

luT ke bhi KHush hun ki ashkon se bhara hai daman

dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi KHazane mere

aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair

jis ke hote hue hote the zamane mere

kash tu bhi meri aawaz kahin sunta ho

phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere

kash tu bhi kabhi aa jae masihai ko

log aate hain bahut dil ko dukhane mere

kash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta

baat sun li hai meri aaj KHuda ne mere

tu hai kis haal mein ai zud-faramosh mere

mujh ko to chhin liya ahd-e-wafa ne mere

chaara-gar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraaz'

juz tere aur koi zaKHm na jaane mere

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

juz tere koi bhi din raat na jaane mere Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now