Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe

Parveen Shakir

justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe

Parveen Shakir

justujū kho.e huoñ umr bhar karte rahe

chāñd ke hamrāh ham har shab safar karte rahe

rāstoñ ilm thā ham ko na samtoñ ḳhabar

shahr-e-nā-mālūm chāhat magar karte rahe

ham ne ḳhud se bhī chhupāyā aur saare shahr ko

tere jaane ḳhabar dīvār-o-dar karte rahe

vo na aa.egā hameñ ma.alūm thā is shaam bhī

intizār us magar kuchh soch kar karte rahe

aaj aayā hai hameñ bhī un uḌānoñ ḳhayāl

jin ko tere zo.am meñ be-bāl-o-par karte rahe

justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe

chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha hum ko na samton ki KHabar

shahr-e-na-malum ki chahat magar karte rahe

hum ne KHud se bhi chhupaya aur sare shahr ko

tere jaane ki KHabar diwar-o-dar karte rahe

wo na aaega hamein malum tha is sham bhi

intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe

aaj aaya hai hamein bhi un uDanon ka KHayal

jin ko tere zoam mein be-baal-o-par karte rahe

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now