wo jo etibar-e-jamal the wo kahan gae
vo jo e'tibār-e-jamāl the vo kahāñ ga.e
vo jo aap apnī misāl the vo kahāñ ga.e
kabhī har taraf koī dilkashī sī muhīt thī
usī dasht meñ jo ġhazāl the vo kahāñ ga.e
kahīñ ek pal ko bhī tū nazar nahīñ aa rahā
ġham-e-dil tire mah-o-sāl the vo kahāñ ga.e
vo jo ḳhvāb le ke chale the ham vo kahāñ gayā
vo jo us ke ġham meñ niDhāl the vo kahāñ ga.e
kabhī pahroñ us kā bas ik usī kā ḳhayāl thā
vo jo hijr the jo visāl the vo kahāñ ga.e
kabhī pahle jab vo milā thā vaisā nahīñ rahā
ka.ī rañg us meñ kamāl the vo kahāñ ga.e
ye jo log mere qarīb haiñ ye kahāñ ke haiñ
vo jo husn-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl the vo kahāñ ga.e
wo jo e'tibar-e-jamal the wo kahan gae
wo jo aap apni misal the wo kahan gae
kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi
usi dasht mein jo ghazal the wo kahan gae
kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa raha
gham-e-dil tere mah-o-sal the wo kahan gae
wo jo KHwab le ke chale the hum wo kahan gaya
wo jo us ke gham mein niDhaal the wo kahan gae
kabhi pahron us ka bas ek usi ka KHayal tha
wo jo hijr the jo visal the wo kahan gae
kabhi pahle jab wo mila tha waisa nahin raha
kai rang us mein kamal the wo kahan gae
ye jo log mere qarib hain ye kahan ke hain
wo jo husn-e-KHwab-o-KHayal the wo kahan gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.