mujhe KHabar hai meri shan-e-justuju kya hai
mujhe ḳhabar hai mirī shān-e-justujū kyā hai
vo is liye ki maiñ ye jāntā huuñ tū kyā hai
ḳhudā pe terā ijāra nahīñ hai shaiḳh-e-haram
to phir batā ki ye andāz-e-guftugū kyā hai
nigāh-e-shauq ne sab kuchh batā diyā un ko
zabāñ ne laakh chhupāyā ki aarzū kyā hai
tujhī ko sauñp diyā hai tirī talāsh kā ġham
tū hī batā ki tirī rāh-e-justujū kyā hai
hazār shaiḳh-o-barahman fareb deñ lekin
maiñ jāntā huuñ ki maiñ kyā huuñ aur tū kyā hai
zamīr meñ jo ġhalāzat hai us ko dho.e shaiḳh
vagarna mujh ko batā maqsad-e-vuzū kyā hai
janāb-e-shaiḳh kī tauhīn ho jahāñ 'rāhī'
vahāñ batāo barahman kī aabrū kyā hai
mujhe KHabar hai meri shan-e-justuju kya hai
wo is liye ki main ye jaanta hun tu kya hai
KHuda pe tera ijara nahin hai shaiKH-e-haram
to phir bata ki ye andaz-e-guftugu kya hai
nigah-e-shauq ne sab kuchh bata diya un ko
zaban ne lakh chhupaya ki aarzu kya hai
tujhi ko saunp diya hai teri talash ka gham
tu hi bata ki teri rah-e-justuju kya hai
hazar shaiKH-o-barahman fareb den lekin
main jaanta hun ki main kya hun aur tu kya hai
zamir mein jo ghalazat hai us ko dhoe shaiKH
wagarna mujh ko bata maqsad-e-wuzu kya hai
janab-e-shaiKH ki tauhin ho jahan 'rahi'
wahan batao barahman ki aabru kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.