mere sher mera ye rabta na gurez hai na tapak hai
mire she'r merā ye rābta na gurez hai na tapāk hai
hai hikāyat-e-dil-e-nā-rasā na gurez hai na tapāk hai
kabhī is tapāk kī justujū kabhī us gurez kī aarzū
yahī zindagī hai to marhabā na gurez hai na tapāk hai
kabhī zaḳhm-e-tāza kā ronā ro kabhī indimāl kā honā ho
mire 'arz-e-ġham tirī intihā na gurez hai na tapāk hai
kahīñ zauq-e-vasl ke mujra.ī kahīñ ranj-e-hijr ke nāla-zan
ye kise kahūñ mirā mudda'ā na gurez hai na tapāk hai
kabhī dil ko chhū ke guzar gayā kabhī lamha bhar ko Thahar gayā
mire harf-e-tāza kā mo'jiza na gurez hai na tapāk hai
na yahī ki sab se judā raho na yahī ki sab meñ sadā raho
ki vahī safar hai jo silsila na gurez hai na tapāk hai
mere she'r mera ye rabta na gurez hai na tapak hai
hai hikayat-e-dil-e-na-rasa na gurez hai na tapak hai
kabhi is tapak ki justuju kabhi us gurez ki aarzu
yahi zindagi hai to marhaba na gurez hai na tapak hai
kabhi zaKHm-e-taza ka rona ro kabhi indimal ka hona ho
mere 'arz-e-gham teri intiha na gurez hai na tapak hai
kahin zauq-e-wasl ke mujrai kahin ranj-e-hijr ke nala-zan
ye kise kahun mera mudda'a na gurez hai na tapak hai
kabhi dil ko chhu ke guzar gaya kabhi lamha bhar ko Thahar gaya
mere harf-e-taza ka mo'jiza na gurez hai na tapak hai
na yahi ki sab se juda raho na yahi ki sab mein sada raho
ki wahi safar hai jo silsila na gurez hai na tapak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.