ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyaar kartā huuñ
maiñ is ilzām se filhāl to inkār kartā huuñ
jhaTak detā hai ḳhvāb-e-vasl kā har rang āñkhoñ se
ye koshish kyā kahūñ har roz kitnī baar kartā huuñ
sabhī hairān haiñ kyā thā vo samjhauta judā.ī kā
na vo e'lān kartā hai na maiñ iz.hār kartā huuñ
mirī āñkhoñ meñ phir jaatī hai sūrat hū-ba-hū us kī
maiñ us ke dekhne vāloñ kā jab dīdār kartā huuñ
'ajab kyā hai agar ghāTā paḌā mujh ko mohabbat meñ
ye kār-o-bār hai aur meñ ye kār-o-bār kartā huuñ
'zafar' tasvīr ho saktī hai kab ne'mul-badal us kā
koī pūchhe ye maiñ kis chiiz par isrār kartā huuñ
ye fard-e-jurm hai mujh par ki us se pyar karta hun
main is ilzam se filhaal to inkar karta hun
jhaTak deta hai KHwab-e-wasl ka har rang aankhon se
ye koshish kya kahun har roz kitni bar karta hun
sabhi hairan hain kya tha wo samjhauta judai ka
na wo e'lan karta hai na main izhaar karta hun
meri aankhon mein phir jati hai surat hu-ba-hu us ki
main us ke dekhne walon ka jab didar karta hun
'ajab kya hai agar ghaTa paDa mujh ko mohabbat mein
ye kar-o-bar hai aur mein ye kar-o-bar karta hun
'zafar' taswir ho sakti hai kab ne'mul-badal us ka
koi puchhe ye main kis chiz par israr karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.