jo tufanon mein palte ja rahe hain
jo tūfānoñ meñ palte jā rahe haiñ
vahī duniyā badalte jā rahe haiñ
nikhartā aa rahā hai rañg-e-gulshan
ḳhas o ḳhāshāk jalte jā rahe haiñ
vahīñ maiñ ḳhaak uḌtī dekhtā huuñ
jahāñ chashme ubalte jā rahe haiñ
charāġh-e-dair-o-kāba allāh allāh
havā kī zid pe jalte jā rahe haiñ
shabāb o husn meñ bahas aa paḌī hai
na.e pahlū nikalte jā rahe haiñ
jo tufanon mein palte ja rahe hain
wahi duniya badalte ja rahe hain
nikharta aa raha hai rang-e-gulshan
KHas o KHashak jalte ja rahe hain
wahin main KHak uDti dekhta hun
jahan chashme ubalte ja rahe hain
charagh-e-dair-o-kaba allah allah
hawa ki zid pe jalte ja rahe hain
shabab o husn mein bahas aa paDi hai
nae pahlu nikalte ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.