jo mujhko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut
jo mujh ko dekh ke kal raat ro paḌā thā bahut
vo merā kuchh bhī na thā phir bhī āshnā thā bahut
maiñ ab bhī raat ga.e us kī guuñj suntā huuñ
vo harf kam thā bahut kam magar sadā thā bahut
zamīñ ke siine meñ sūraj kahāñ se utre haiñ
falak pe duur koī baiThā sochtā thā bahut
mujhe jo dekhā to kāġhaz ko purze purze kiyā
vo apnī shakl ke ḳhāke banā rahā thā bahut
maiñ apne haath se niklā to phir kahīñ na milā
zamāna mere ta.āqub meñ bhī gayā thā bahut
shikast-o-reḳht badan kī ab apne bas meñ nahīñ
use batā.ūñ ki vo ramz-āshnā thā bahut
bisāt us ne ulaT dī na jaane soch ke kyā
abhī to logoñ meñ jiine kā hauslā thā bahut
ajab sharīk-e-safar thā ki jab paḌāv kiyā
vo mere paas na Thahrā magar rukā thā bahut
sehr ke chāk-e-garebāñ ko dekhne ke liye
vo shaḳhs sub.h talak shab ko jāgtā thā bahut
vo kam-suḳhan thā magar aisā kam-suḳhan bhī na thā
ki sach hī boltā thā jab bhī boltā thā bahut
havā ke lams se chehre pe phuul khilte the
vo chāñdnī sā badan mauja-e-sabā thā bahut
pas-e-darīcha do āñkheñ chamaktī rahtī thiiñ
ki us ko niiñd meñ chalne kā āriza thā bahut
kahāniyoñ kī fazā bhī use thī raas 'aḳhtar'
haqīqatoñ se bhī ohda-bar-ā huā thā bahut
jo mujh ko dekh ke kal raat ro paDa tha bahut
wo mera kuchh bhi na tha phir bhi aashna tha bahut
main ab bhi raat gae us ki gunj sunta hun
wo harf kam tha bahut kam magar sada tha bahut
zamin ke sine mein suraj kahan se utre hain
falak pe dur koi baiTha sochta tha bahut
mujhe jo dekha to kaghaz ko purze purze kiya
wo apni shakl ke KHake bana raha tha bahut
main apne hath se nikla to phir kahin na mila
zamana mere taaqub mein bhi gaya tha bahut
shikast-o-reKHt badan ki ab apne bas mein nahin
use bataun ki wo ramz-ashna tha bahut
bisat us ne ulaT di na jaane soch ke kya
abhi to logon mein jine ka hausla tha bahut
ajab sharik-e-safar tha ki jab paDaw kiya
wo mere pas na Thahra magar ruka tha bahut
sehr ke chaak-e-gareban ko dekhne ke liye
wo shaKHs subh talak shab ko jagta tha bahut
wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha
ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut
hawa ke lams se chehre pe phul khilte the
wo chandni sa badan mauja-e-saba tha bahut
pas-e-daricha do aankhen chamakti rahti thin
ki us ko nind mein chalne ka aariza tha bahut
kahaniyon ki faza bhi use thi ras 'aKHtar'
haqiqaton se bhi ohda-bar-a hua tha bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.