Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh

Marghoob Ali

jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh

Marghoob Ali

MORE BYMarghoob Ali

    jo jaañ se hai aziiz use judā bhī rakh

    ḳhushiyoñ ke muñh meñ dard bharā zā.iqa bhī rakh

    har rāsta kahīñ na kahīñ muḌ jā.egā

    rishtoñ ke biich thoḌā bahut fāsla bhī rakh

    yuuñ bhī na ho ki jo bhī uThe tujh meñ jhāñk le

    ḳhud meñ na yuuñ simaT koī dard-āshnā bhī rakh

    aisā na ho ki taaza havā ajnabī lage

    kamre ek-ādh darīcha khulā bhī rakh

    shāḳh aur phuul rishta-e-yak-lamha ke asiir

    apnī talab ke sāmne ye aa.inā bhī rakh

    jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh

    KHushiyon ke munh mein dard bhara zaiqa bhi rakh

    har rasta kahin na kahin muD hi jaega

    rishton ke bich thoDa bahut fasla bhi rakh

    yun bhi na ho ki jo bhi uThe tujh mein jhank le

    KHud mein na yun simaT koi dard-ashna bhi rakh

    aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage

    kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh

    shaKH aur phul rishta-e-yak-lamha ke asir

    apni talab ke samne ye aaina bhi rakh

    Source :
    • Book : Aadhi Raat Ki Shabnam (Pg. 56)
    • Author : Marghoob Ali
    • Publication : Takhleeqkar Publishers (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now