Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bhi taKHt pe aa kar baiTha usko yazdan man liya

Syed Naseer Shah

jo bhi taKHt pe aa kar baiTha usko yazdan man liya

Syed Naseer Shah

jo bhī taḳht pe aa kar baiThā us ko yazdāñ maan liyā

aap bahut dīda-var the mausam ko pahchān liyā

jab bhī thakan ne kaaT ke pheñkā dasht-gazīda qadmoñ ko

jaltī ret pe khaal bichā.ī dhuup ḳhema taan liyā

apnī anā bāġhī dariyā vasl se kyā sarshār huā

us nishāñ bhī haath na aayā saarā samundar chhān liyā

qismat ke bāzār se bas ik chiiz to le sakte the

tum ne taaj uThāyā maiñ ne 'ġhālib' dīvān liyā

zaat sifāt se aarī ho to kaisā ta.āvun ḳhārij

aañkh to thī nā-bīnā nāhaq sūraj ehsān liyā

jo bhi taKHt pe aa kar baiTha us ko yazdan man liya

aap bahut hi dida-war the mausam ko pahchan liya

jab bhi thakan ne kaT ke phenka dasht-gazida qadmon ko

jalti ret pe khaal bichai dhup ka KHema tan liya

apni ana ka baghi dariya wasl se kya sarshaar hua

us ka nishan bhi hath na aaya sara samundar chhan liya

qismat ke bazar se bas ek chiz hi to le sakte the

tum ne taj uThaya main ne 'ghaalib' ka diwan liya

zat sifat se aari ho to kaisa taawun KHarij ka

aankh to thi na-bina nahaq suraj ka ehsan liya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now