Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di

Ahmad Ashfaq

jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di

Ahmad Ashfaq

jitnī ham chāhte the utnī mohabbat nahīñ

ḳhvāb to de diye us ne hameñ mohlat nahīñ

biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ

shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ

us ḳhāmoshī mirī raah meñ aa baiThī hai

maiñ chalā jaatā magar us ne ijāzat nahīñ

ham tire saath tire jaisā ravayya rakhte

dene vaale ne magar aisī tabī.at nahīñ

mujh se jo tañg huā maiñ ne use chhoḌ diyā

us ko ḳhud chhoḌ ke jaane bhī zahmat nahīñ

ham the mohtāt ta.alluq meñ tavāzun rakkhā

pās-e-ulfat rahā had-darja aqīdat nahīñ

jis qadar TuuT ke chāhā use ham ne 'ashfāq'

us saḳhī ne hameñ utnī bhī to nafrat nahīñ

jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di

KHwab to de diye us ne hamein mohlat nahin di

bikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein

shukr hai mere KHuda ne mujhe shohrat nahin di

us ki KHamoshi meri rah mein aa baiThi hai

main chala jata magar us ne ijazat nahin di

hum tere sath tere jaisa rawayya rakhte

dene wale ne magar aisi tabiat nahin di

mujh se jo tang hua main ne use chhoD diya

us ko KHud chhoD ke jaane ki bhi zahmat nahin di

hum the mohtat talluq mein tawazun rakkha

pas-e-ulfat raha had-darja aqidat nahin di

jis qadar TuT ke chaha use hum ne 'ashfaq'

us saKHi ne hamein utni bhi to nafrat nahin di

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now