Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi

Ahmad Faraz

jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi

Ahmad Faraz

jis se ye tabī.at baḌī mushkil se lagī thī

dekhā to vo tasvīr har ik dil se lagī thī

tanhā.ī meñ rote haiñ ki yuuñ dil ko sukūñ ho

ye choT kisī sāhab-e-mahfil se lagī thī

ai dil tire āshob ne phir hashr jagāyā

bedard abhī aañkh bhī mushkil se lagī thī

ḳhilqat ajab haal thā us kū-e-sitam meñ

saa.e tarah dāman-e-qātil se lagī thī

utrā bhī to kab dard chaḌhtā huā dariyā

jab kashtī-e-jāñ maut ke sāhil se lagī thī

jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi

dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi

tanhai mein rote hain ki yun dil ko sukun ho

ye choT kisi sahab-e-mahfil se lagi thi

ai dil tere aashob ne phir hashr jagaya

bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi

KHilqat ka ajab haal tha us ku-e-sitam mein

sae ki tarah daman-e-qatil se lagi thi

utra bhi to kab dard ka chaDhta hua dariya

jab kashti-e-jaan maut ke sahil se lagi thi

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now