Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin dinon hum udas lagte hain

aqeel nomani

jin dinon hum udas lagte hain

aqeel nomani

jin dinoñ ham udaas lagte haiñ

jaane kyā kyā qayās lagte haiñ

vo adākār haiñ ḳhayāl rahe

jo bahut ġham-shanās lagte haiñ

ba.az auqāt bad-havāsī meñ

sab ke sab bad-havās lagte haiñ

muskurāne kyā zarūrat hai

aap yuuñ bhī udaas lagte haiñ

chand ḳhush-fahm ḳhush-libāsoñ ko

dūsre be-libās lagte haiñ

jin dinon hum udas lagte hain

jaane kya kya qayas lagte hain

wo adakar hain KHayal rahe

jo bahut gham-shanas lagte hain

baz auqat bad-hawasi mein

sab ke sab bad-hawas lagte hain

muskurane ki kya zarurat hai

aap yun bhi udas lagte hain

chand KHush-fahm KHush-libason ko

dusre be-libas lagte hain

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now