mera KHazana zamane ke hath ja na lage
mirā ḳhazāna zamāne ke haath jā na lage
tujhe kisī kī kisī ko tirī havā na lage
hameñ lagā so lagā ḳhud-aziyyatī kā nasha
du'ā karo ki tumheñ bad-du'ā du'ā na lage
du'ā karo ki kisī kā na dil lage tum se
lage to aur kisī se lagā huā na lage
hasad kiyā ho tire rizq se kabhī maiñ ne
to mujh ko apnī kamā.ī huī ġhizā na lage
hameñ hī 'ishq kī tash.hīr chāhiye varna
patā na lagne diyā jaa.e to patā na lage
paḌā rahā maiñ kisī aur hī bakheḌe meñ
bahut se qīmtī jazbe kisī dishā na lage
banā rahā huuñ tasavvur meñ ek muddat se
ik aisā shahr jise koī rāsta na lage
kise ḳhushī nahīñ hotī sarāhe jaane kī
magar vo dost hī kyā hai jo aa.ina na lage
yahī kahūñgā ki 'javvād' bach bachā ke zarā
agar kisī kā ravayya birādarāna lage
mera KHazana zamane ke hath ja na lage
tujhe kisi ki kisi ko teri hawa na lage
hamein laga so laga KHud-aziyyati ka nasha
du'a karo ki tumhein bad-du'a du'a na lage
du'a karo ki kisi ka na dil lage tum se
lage to aur kisi se laga hua na lage
hasad kiya ho tere rizq se kabhi main ne
to mujh ko apni kamai hui ghiza na lage
hamein hi 'ishq ki tashhir chahiye warna
pata na lagne diya jae to pata na lage
paDa raha main kisi aur hi bakheDe mein
bahut se qimti jazbe kisi disha na lage
bana raha hun tasawwur mein ek muddat se
ek aisa shahr jise koi rasta na lage
kise KHushi nahin hoti sarahe jaane ki
magar wo dost hi kya hai jo aaina na lage
yahi kahunga ki 'jawwad' bach bacha ke zara
agar kisi ka rawayya biradarana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.