Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawani ke tarane ga raha hun

Hafeez Jalandhari

jawani ke tarane ga raha hun

Hafeez Jalandhari

javānī ke tarāne rahā huuñ

dabī chingāriyāñ sulgā rahā huuñ

mirī bazm-e-vafā se jaane vaalo

Thahar jaao ki maiñ bhī aa rahā huuñ

butoñ ko qaul detā huuñ vafā

qasam apne ḳhudā khā rahā huuñ

vafā lāzmī thā ye natīja

sazā apne kiye rahā huuñ

ḳhudā-lagtī kaho but-ḳhāne vaalo

tumhāre saath meñ kaisā rahā huuñ

zahe vo gosha-e-rāhat ki jis meñ

hujūm-e-ranj le kar rahā huuñ

charāġh-e-ḳhāna-e-darvesh huuñ maiñ

idhar jaltā udhar bujhtā rahā huuñ

na.e kā'be buniyādoñ se pūchho

purāne but-kade kyuuñ Dhā rahā huuñ

nahīñ kāñTe bhī kyā ujḌe chaman meñ

koī roke mujhe maiñ rahā huuñ

huī jaatī hai kyuuñ betāb manzil

musalsal chal rahā huuñ aa rahā huuñ

'hafīz' apne parā.e ban rahe haiñ

ki maiñ dil ko zabāñ pe rahā huuñ

jawani ke tarane ga raha hun

dabi chingariyan sulga raha hun

meri bazm-e-wafa se jaane walo

Thahar jao ki main bhi aa raha hun

buton ko qaul deta hun wafa ka

qasam apne KHuda ki kha raha hun

wafa ka lazmi tha ye natija

saza apne kiye ki pa raha hun

KHuda-lagti kaho but-KHane walo

tumhaare sath mein kaisa raha hun

zahe wo gosha-e-rahat ki jis mein

hujum-e-ranj le kar ja raha hun

charagh-e-KHana-e-darwesh hun main

idhar jalta udhar bujhta raha hun

nae ka'be ki buniyaadon se puchho

purane but-kade kyun Dha raha hun

nahin kanTe bhi kya ujDe chaman mein

koi roke mujhe main ja raha hun

hui jati hai kyun betab manzil

musalsal chal raha hun aa raha hun

'hafiz' apne parae ban rahe hain

ki main dil ko zaban pe la raha hun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Hafeez Jalandhari

Hafeez Jalandhari

Hafeez Jalandhari

Hafeez Jalandhari

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 422)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now