Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin

Hasan Naim

jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin

Hasan Naim

jañgaloñ ye muhim hai raḳht-e-jāñ koī nahīñ

sañg-rezoñ girah meñ kahkashāñ koī nahīñ

kyā ḳhabar hai kis kināre is safar shaam ho

kashti-e-umr-e-ravāñ meñ bādbāñ koī nahīñ

āshiqoñ ne sirf apne dukh ko samjhā mo'tabar

mehr sab aarzū hai mehrbāñ koī nahīñ

ek dariyā paar kar ke aa gayā huuñ us ke paas

ek sahrā ke sivā ab darmiyāñ koī nahīñ

hasratoñ aabrū tahzīb-e-ġham se bach ga.ī

is nafāsat se jalā hai dil dhuāñ koī nahīñ

kaT chuke haiñ apne maazī se suḳhan ke pesha-var

marsiya-go so chuke aur qissa-ḳhvāñ koī nahīñ

pūchhtā hai aaj un be-takalluf libās

is galī meñ kyā jiyālā naujavāñ koī nahīñ

vo rahe qaid-e-zamāñ meñ jo makīn-e-ām ho

lamha lamha jiine vāloñ makāñ koī nahīñ

majlisoñ ḳhaak chhānī to khulā mujh par 'na.īm'

aazmī ḳhush-nigāh o ḳhush-bayāñ koī nahīñ

jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin

sang-rezon ki girah mein kahkashan koi nahin

kya KHabar hai kis kinare is safar ki sham ho

kashti-e-umr-e-rawan mein baadban koi nahin

aashiqon ne sirf apne dukh ko samjha mo'tabar

mehr sab ki aarzu hai mehrban koi nahin

ek dariya par kar ke aa gaya hun us ke pas

ek sahra ke siwa ab darmiyan koi nahin

hasraton ki aabru tahzib-e-gham se bach gai

is nafasat se jala hai dil dhuan koi nahin

kaT chuke hain apne mazi se suKHan ke pesha-war

marsiya-go so chuke aur qissa-KHwan koi nahin

puchhta hai aaj un ka be-takalluf sa libas

is gali mein kya jiyala naujawan koi nahin

wo rahe qaid-e-zaman mein jo makin-e-am ho

lamha lamha jine walon ka makan koi nahin

majlison ki KHak chhani to khula mujh par 'naim'

aazmi sa KHush-nigah o KHush-bayan koi nahin

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

jangalon ki ye muhim hai raKHt-e-jaan koi nahin Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now