Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jalwa-e-husn-e-azal dida-e-bina mujhse

Javed Vashisht

jalwa-e-husn-e-azal dida-e-bina mujhse

Javed Vashisht

jalva-e-husn-e-azal dīda-e-bīnā mujh se

jaane kyā soch ke phir kar liyā parda mujh se

ġham se ehsās ā.īna jilā paatā hai

aur ġham sīkhe hai aa kar ye salīqa mujh se

raat phir jashn-e-charāġhāñ ke liye māñgā thā

mauj-e-ehsās ne ik pyaas shola mujh se

maiñ ne mazlūm bas naam liyā thā logo

jaane kyuuñ ho gayā barham vo masīhā mujh se

merī ḳhvāhish pe hai mauqūf vajūd-e-ālam

aur hai mansūb azal se ye karishma mujh se

dil huuñ maiñ pyaar bharā aur nāzuk dhaḌkan

dil tujh se hai magar dard rishta mujh se

bazm yādoñ sajī gosha-e-dil meñ 'jāved'

phir vahī taaza ġhazal hai taqāzā mujh se

jalwa-e-husn-e-azal dida-e-bina mujh se

jaane kya soch ke phir kar liya parda mujh se

gham se ehsas ka aaina jila pata hai

aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se

raat phir jashn-e-charaghan ke liye manga tha

mauj-e-ehsas ne ek pyas ka shola mujh se

main ne mazlum ka bas nam liya tha logo

jaane kyun ho gaya barham wo masiha mujh se

meri KHwahish pe hai mauquf wajud-e-alam

aur hai mansub azal se ye karishma mujh se

dil hun main pyar bhara aur tu nazuk dhaDkan

dil ka tujh se hai magar dard ka rishta mujh se

bazm yaadon ki saji gosha-e-dil mein 'jawed'

phir wahi taza ghazal ka hai taqaza mujh se

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now