kyun main taskin-e-dil ai yar karun ya na karun
kyuuñ maiñ taskīn-e-dil ai yaar karūñ yā na karūñ
naala jā kar pas-e-dīvār karūñ yā na karūñ
sun le ik baat mirī tū ki ramaq hai baaqī
phir suḳhan tujh se sitam-kār karūñ yā na karūñ
saḳht mushkil hai ki har baat kināya samjho
hai zabāñ merī bhī guftār karūñ yā na karūñ
ḳhvāb-e-shīrīñ meñ hai aur dil hai mirā mā.il-e-shauq
jī dhaḌaktā hai ki bedār karūñ yā na karūñ
mausam-e-gul hī meñ sayyād se jā kar yaaro
zikr-e-murġhān-e-giraftār karūñ yā na karūñ
'ahd thā tujh se ki bhar 'umr vafā kariyegā
in sulūkoñ pe jafākār karūñ yā na karūñ
kūcha-e-yār ko maiñ rashk-e-chaman ai 'saudā'
jā ke bā-dīda-e-ḳhūñbār karūñ yā na karūñ
kyun main taskin-e-dil ai yar karun ya na karun
nala ja kar pas-e-diwar karun ya na karun
sun le ek baat meri tu ki ramaq hai baqi
phir suKHan tujh se sitam-kar karun ya na karun
saKHt mushkil hai ki har baat kinaya samjho
hai zaban meri bhi guftar karun ya na karun
KHwab-e-shirin mein hai aur dil hai mera mail-e-shauq
ji dhaDakta hai ki bedar karun ya na karun
mausam-e-gul hi mein sayyaad se ja kar yaro
zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun
'ahd tha tujh se ki bhar 'umr wafa kariyega
in sulukon pe jafakar karun ya na karun
kucha-e-yar ko main rashk-e-chaman ai 'sauda'
ja ke ba-dida-e-KHunbar karun ya na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.